Main

25 Most important places of Dwarka Dham | Dwarkadhish | Chaar Dhaam Yatra with GKD | Rare Darshans

Connect With GKD - https://superprofile.bio/govinkrsnadas ( Access the most latest updates about GKD & Kitran shows in your city by using above link ) Join this channel to get access to perks: https://www.youtube.com/channel/UCJptatOLkds0ovqvFc86rjA/join Follow Us on 👇 Instagram: https://www.instagram.com/govindkrsnadas Facebook : https://www.facebook.com/govindkrsnagkd​ Twitter: https://twitter.com/govindkrsnagkd​ ----------------------------------------------------------------------------- Support My Journey 💰 Support link- Instamojo - https://www.instamojo.com/@GovindKrsnaDas Razorpay - https://rzp.io/l/ue9KscBNb7 ----------------------------------------------------------------------------- Join my Family 👪 WhatsApp - +91 9325249990 Join Telegram - https://t.me/govindkrsnadas​​ ----------------------------------------------------------------------------- Business & Collaboration Inquiry 🤝 Email - workwithgkd@gmail.com Book me for an event - http://bit.ly/callgkd​ ----------------------------------------------------------------------------- Music used: Starting Music: Beatlab Composition: GKD Singer: GKD Chorus:Khyat Sharma Shubham dev Temple Of Freedom: https://youtu.be/6cTk0SEHpBM Desert Planet: https://youtu.be/eVmpHFYtqCw Bhairavi - Sitarkhani: https://youtu.be/AmKuZttBOdU Adana - Teental: https://youtu.be/uljwmcsQbAU Dreamland: https://youtu.be/96Mr-TWooVY Fruits of Life-Jimena Contreras: https://youtu.be/Qm9eXG-yDRE World's Sunrise: https://youtu.be/7BBnB-j6U-c Cavalry- Aakash Gandhi: https://youtu.be/GAF8gHGvI0s A Flute's Mourning: https://youtu.be/5O118dW7zbc Snowy Peaks pt I- Chris Haugen: https://youtu.be/vTQzhkl2ud0 Shake It: https://youtu.be/_4V9jJhLtTY Disturbing Events (Looping): https://youtu.be/_m5XJokder4 Chariots of War: https://youtu.be/BW4shlvZ9Dw Eyes of Glory: https://youtu.be/PtHsrH-baIY End music credit: https://youtu.be/S6W9bNo4wHk (Channel name: Mu Hanz @muhanz ) Copyright Disclaimer- Copyright Disclaimer under section 107 of the Copyright Act of 1976, allowance is made for “fair use” for purposes such as criticism, comment, news reporting, teaching, scholarship, education, and research. Fair use is a use permitted by copyright statute that might otherwise be infringing.

Govind Krsna Das

10 months ago

Krsnaya Vasudevaya Devakinandanayaca Nanda Gopa Kumaraya Govinda ya Namoh Namaha Akhilbrahmanda Nayak, Purn-Purushottama Vasudev Nandana,Devaki Nandana, Go-Brahman Palanayak, Raghunandan, Sri Rajadhiraj Sri Rukmini Dwarkadhish Bhagwan ki Jaiii hooooo Krsnam Vande JagatGuru (Chorus) Jai Shri Krsna,Jai Dwarkadhish Aaj toh khushi ka thikana hi nhi hai, kyuki aaj mera aur karoro bhakton ka sapna pura hone jaa raha hai.. Bhakton aaj aapka GKD aap sabhi ko lekar aaya hai chaaron dhaamo mein se ek Sri
DwarkaDham Bhakton yaha par rehte hai Narayan Krsna,Rukmini ke Krsna,Sudama ke Krsna,Yadu vamshiyon ke Krsna, aur hum sabke Rajadhiraj Dwarkadhish Krsna Aage badhne se pehle kya main aapse ek chota sa nivedan kar sakta hu? Dil thaamkar baithiyega aur vlog ko end tk jarur dekhiyega Kyuki jo main aapko dikhaane jaa raha hu aur btane jaa raha hu Woh aapki soch se pare hai, Skanda Puran mein varnan hai:- (Shloka) Kaliyug mein Hari athva Bhagwan Sri Krsna ko anyatra Kahi nhi paaya jaa sakta, yadi aa
p Bhagwan Krsna ko khoj kar rahe hai, Aapko Dwarka Dham aana hi padega, Skanda Puran mein yeh bhi varnan hai, manushya jab Dwarka jaane ki iccha karta hai tabhi uske pitra nar mukt hokar sangeet gaayan karne lagte hai Vastutah yaha ek ek kadam rakhne par ek Ashwamedh Yagna karne ka fal milta hai Bhakton is samay aapka Das mandir ke andar aa chuka hai Mandir mein cameras allowed nhi hai lekin Main pura prayas karunga ki aapko Thakur ji ke Darshan ka anubhav ho Samay aa chuka hai,aap mujhe comment
s muje btaye Ki aap kaha se Darshan kar rahe hai Agar Badrinath mein Bhagwan tapasya karte hai toh Jagannath Puri mein Woh bhojan karte hai, Rameshwar mein yadi woh vishram karte hai toh Dwarka Dhaam mein Laxmi Pati, Anant koti Brahmand ke Malik, apni rajya sabha sambhalte hai. Aaha! Apne toh hogayo bhaiya Dwarkadhish ke Darshan Kya lag rahe the Thakurji! Chinta mt karo aapke aur se bhi Pranam aur Prarthnaye kari thi Mandir ke do dwar hai, pravesh humne moksh dwar se kiya tha Aur is samay main
Swarga Dwar par khada hu Aur yeh chappan sidiyon ka raasta hai, chaliye aage badhte hai! Bhakton chappan sidiyon se niche utarte hi aapko ek jagah dikhai degi Jaha Tula Daan kiya jaata hai, Bhagwan Sri Krsna ke bade bhai, Sri Dauji Maharaj ko Sakshi maankar Tula Daan kiya jaata hai, Bolo Dauji Maharaj ki 00:04:04,000 Jaiiii (All chants) Tula Daan jise Maha Daan ke naamse bhi jaana jaata hai, Sanatan Dharma ke pramukh praachin anushthaano mein se ek hai Bhakton is anushthan mein apne sharir ke w
ajan ke barabar tel,fal,anna aur ghee Daan kiya jaata hai,lijiye main bhi Tula Daan ke liye tyaar hogaya hu Janmashthami ke din, ratri prahar mein ... Siddh kiya hua Bhagwan ka shankha,chakra,gada,padma chin wala raksha kavach ka vastra dupatta Jo daan karma karte hai,anna daan,Tula daan Unke aashish ke rup mein diya jaata hai,yeh sookha daan hai Jii.Thik hai Bhagwan ka Prasad nhi hota Bhagwan ka aashish hota hai, Janmashtami ke din raat mein, jab Bhagwan Krsna ka janam ho jaata hai Uske baad ai
se swalaakh vastra Bhagwan ke charn mein Yeh waale Haa aise swalakh Bhagwan ke charnon mein rakhkar inke upar solaso se siddh kiya jaata hai Insane ke Kalyan ke liye. Jo yeh daan karma dete hai unki raksha ke liye Yeh vastra mein shanka,chakra,gada,padma saare chin maujood hai Bhagwan ka chabi maujood hai, Bhagwan ka charan kamal maujood hai Jaiii hooo Toh yeh jo daan karta hai, unko aashish ke roop mein arpan kiya jaata hai Dwarkadhishji ke charnon se lipta hua yeh vastra hai,Janmashthami ke ra
tri me Thakur ji ko kitne?Sawaalakh?Sawaalakh Sawaalakh bhog lagaye jaate hai aur wohi Thakur ji ka vastra Prabhuji ne baandha hai apne haath se Dwarka Dham mein.. Jaiii hooo.. Dwarkadhish ki Jaiii hooo Dhanyavad! (Mantra chants for rituals to proceed) Mujhe pta hai aap sabke man mein prashn uthra “Lekin yeh Tula Daan karaya kyu jaata hai?” Aayiye iski badi rochkar Katha sonata hu. Ek samay ki baat hai Satyabhama ji Narad Muni ko Bhagwan Dwarkadhish Daan mein de diye Apni galti ka ehsaas karte
hue jab Dwarkadhish ko waps maanga Narad ji ne kaha aapko Krsna ke vazn ke barabar dhan tarazu par rakhna padega Dwarka ka sapurn dhan rakha gaya lekin Krsna tas se mas nhi hue Rukmini ji aayi aur Tulsi ka ek dal (patta) daalkar is Tula Daan ko sampan kiya Bhakton yeh jo Tula Daan hai vishisht Brahmano dwara sapann kiya jaata hai Sankshipt mein kaha jaaye toh is Daan ko karne se Lambi aayu,safalta,naam,shakti,prasiddhi,sukh,dhan vriddhi hoti hai Aisa waha ke sthaniya Brahman kehte hai Dwarkadhis
h,Maharajdhiraj,Go-Brahmanpati palanayak,Sri Dwarikadhish ki JAIIII (Chorus) Bhakton aksar yeh prashn uthaya jaata hai “Dwarka toh samudra mein doob gayi thi toh yeh kaunsi Dwarka hai?” Dekhiye shastron mein varnan hai, Bhagwan Sri Krsna ke antardhyaan hone par Dwarkaa samudra mein doob gayi thi parantu Bhagawan ka joy eh niji mandir hai jiska aap Darshan kar rahe hai, Samundar ne ise nhi dubaya tha, yeh sakshat aaj bhi Dwapar yug se biraj maan he or ham sabhi ko Darshan de raha hai. Bhakton Dwa
rka Dham chaar Dham mein bhi aata hai Lekin iska naam saptapuri mein bhi hai Aur kya aap jante hai isko Vishwakarma ne jo devata ke Architect hai Rato raat bna diya tha. Bhagwan Sri Krsna ke parpote Sri Vrajranath ne is mandir ko banwaya tha Is mandir ko Jagat mandir bhi kehte hai aur Dwarka Dham ko Dev Bhoomi yaa chakra tirth ke naam se bhi jaana jaata hahai. Chaliye bhakton ab main aapko lekar chlata hu Dwarkadhish mandir ki shobha yatra mein Saalon saal lag jaate hai is mauke ke liye. Pura
parivaar nachte hue, gaate hue,Naam Sankirtan karte hue mandir ki aur badhta hai Dwarkadhish mandir ki dhwaja ki lambai 52 gaj hai. Par 52 gaj hi kyu? Pujari ji ne mujhe btaya ek badi rochak baat. Suniye! 12 raashiyan,27 nakshatra, 10 dishyein, Surya,Chandra aur swayam Bhagwan Dwarkadhish In sabko milaakar baawan ki sankhya puri hoti hai joki mandir ki dhwaja ki lambai hai Din mein 5 baar dhwaja ko badla jaata hai. orr Dhwaja ko ek agoti Brahman,7 Manjari, Oochi Mandir par chadhkar isko chadhata
hai Chaliye bhakton ab Darshan karne chalte hai Gomati Nadi ke Jo bhakt Dwarka mein aakar Gomati Nadi ka snan athva aachman nhi karta Toh uski toh yatra apurn maani jaayegi swayam Brahma ji shrishti ke Rachayita kehte hai Gomati Maiya ka varnan karne mein woh asamarth hai Shri Madhvacaryaji kehte hai “Gomati” ka arth kya hai.. “Go” ka arth hota hai jal aur “mati” ka arth hota hai buddhi Jo jal humari buddhi ko Krsna ki aur le jaaye woh hai Gomati Nadi. Shastra kehte hai, Skanda Puran mein varn
an hai Gomati Nadi mein snan karne se Man,karma,vacha tino ke paap nasht ho jaate hai. Ek baar Gomati nadi mein Dubki lagane ka mtlb hai 1000 baar Ganga mien snan karna. Bolo Gomati Maiya ki Jaiii!!! Bhakton ab jis jagah aappko Darshan karwane jaa raha hu woh both emotional Sthaan hai... yeh hai Mata Rukmini ka mandir. Yeh Dwarkadhish ke mandir se 2km ki duri par hai Par Mata ka mandir itna dur kyu? Iske piche Durvasa Rishi ki shrap ki katha hai Katha is prakar hai ek samay ki baat hai, Bhagwan
Shri Krsna aur Rukmim Maiya Dhurvasa Rishi ke paas jaate hai, aur unko Dwarka mein apne mehel mein aane ka Aamantran dete hai Dhurvasa Rishi unke anugraha ko swikaar karte hai lekin Ek shart pe! Woh kehte “Jis Rath par aap aaye hai uske ghode ko khula chod Dijiye aur swayam Rath ko kheechkar mereko Dwarka lekar jaaye” Dono sweekaar karte hai aur Rath ko kheechna aarambh karte hai. Raste mne Maiya ko pyaas lag jaati hai, yeh dekhkar Dwarkadhish apne pair ke anguthe se Ganga jal ko prakat kar let
e hai Aur Maiya ka pyaas bujh jaati hai. Is drishya ko dekhar Dhurvasa Muni atyant krodhit ho jaati hai Aur Rukmini Maiya ko shrap de dete hai aur kehte hai “Tumne mujhse bina pooche, jal ka paan kiya hai aur mujhse poocha hi nhi hai, Shrap de diya ki tumko Krsna se alag hona padega,Krsna ka viyog sehna padega Aur Dwarkadhish ko shrap dete hai ki tumhare nagar mein humesha jal ka abhaav rahega Kahi bhi meetha paani nhi milega, Bhakton aaj bhi dekha jaata hai, ki Dwarka mein jal ka Abhaav hota
hai. Baadmein Rukmini Maiya kshama maangti hai aur isi sthaaan par tapasya karti hai Aur Dhurvasa Rishi ko prasanna karti hai. Toh Bhakton aaj bhi isi sthaan par jal ka daan kiya jaata hai. Ek baat zarur bolna chahunga, humare Rukmini Maiya ka mandir hai toh chota lekin hosh udaane wala hai Kala aur sundarta ki drishti se yeh mandir both sundar aur bejor hai. Aur ek aur rongte khadi karne Waali baat btata hu. Swayam Bhagawan Dwarkadhish ne kaha hai, yadi koi Dwarka mein aaye aur Unke Darshan kar
e aur Rukmini Matak e Darshan na kare, toh usko Dwarka Dhaam aane ka Sirf aur sirf aadha fal prapt hota hai. Comment karenge zara? Bolo Sri Rukmini Maiya ki Jaiiii!!! Bolo Shri Dwarkadhish Bhagawan ki Jaiii!!! Bhagawan Dwarkadhish ke dhwaja 52gaj hai aur Rukmini Maiya ke dhwaja ka kad hai 13 gaj! Bhakton ab main aapko le aaya hu Sri Nageshwar Mandir! 12Jyotirlinga mein se 10we number pe aate hai Sri Nageshwar Mahadev Naageshwar yaani jo Naago ka ishwar ho. Aur yaha par Mata Parvati jaani jaati h
ai Nageshwari ke naam se Bhakton swayam Sri Dwarkadhish Bhagwan Shri Krsna apne haathon se Naageshwar Mahadev ka Rudra Abhishek kiya karte the Sabhi comment karenge “Har Har Mahadev!” Aur bhakton bahr aakar aap dekh sakte hai, devo ke dev Mahadev Mahakal Padmasana mein baithe hue hai Yeh jitney bade dikh rahe hai na Use 1000,100000 guna bade hai! Mere camera mein fit bhi nhi aa rahe the Ab toh comment karna padega “Har Har Mahadev!!!” Jaii ho Dwarkadhish toh bhakton ab main aapko lekar jaa raha
hu Pandavo ke kuwe ki Darshan karane ke liye Aur is samay Gomati Nadi ke beech mein jaa rahe hai isiliye chappal bilkul nhi pehhne,Yeh sakshat Maa Ganga hai... toh aap jo dekh rahe ho na yeh flyover toh yeh hai Sudama Bridge Lekin ab yeh bnd hai. Kyuki yaha koi haatsah hogaya tha toh peeche, Gujarat mein bridge gir gaya tha toh ab ise bnd kardiya gaya hai. Toh hum aapko thoda sa adventure kara rahe hai aur nadi se lekar jaa rahe hai aoo (Music) Param saubhagya hai humara yaha par humein Keshav D
as ji mile hai Aur is shtaan ke bare mein sankshipt roop mein humein katha batayenge ,Ji Maharaj. Mahabharat ke baad Pandava harek tirth mein jaakar pind daan kiya tha Isiliye Bhagwan ki prayatna se pind daan karne aaya tha Aur yaha par pehle se hi Dhurvasa ji ka maya laga hua hai Aur 40km ko Dhurvasa Muni ne shrapit kar diya tha ki “tum saara zameen banjar ho jaao” Isiliye yeh zameena khaada hogaya. Aur Usko ghamand bhi hota tha ki Humare jaisa Bhagawna koi nhi hai Isi ghamand ke wajah se woh R
ukmini Mata ko aur Dwarkadhish ke Rath mein chaabuk se maarta tha Ki ghoda ki tarah dor dorke chalo toh usika ghamand ko todne ke liye Bhagwan Saptarishi ko aamantrit kiya ki Pandav yah pind daan karne ke liye Kuwa khoda toh khada paani nikla toh Saptarishi ko aadesh diya Bhagwan ki apne yog bal se Tapa bal se isko meetha kijiye.. To bo Rishimuni aapas mein vichar karke Pandava ke haath se 5 nadi ka aavahan karke, iska Praan Pratistha kiya hai Isiliye is jagah ka naam hai Pancha Nadi Tirth~ 5 Na
di ka Teerath Toh paachon bhaiyon mein jiska jaisa Shakti tha prabhav tha uska waisa ppaani mitha hua Isiliye pancho kuwa mein alag alag paani hai Bolo Dwarkadhish ki Jaiii!!!5 Kuwa hai aur 5 Kuwa ka Pandava ke swabhav anusar alag alag swaad ke pani hai Paachon bhaiyon kea lag alag swabhaav ka Paani hai... Yeh Bheem ka paani hai, BBheem krodhi or Ghamandi tha isiliye iska paani sabse kam meetha hai Acha Sabse kam meetha Bheem ka paani Pijiye Pijiye Pijiye!!! Vaikunth ka ... Arjun ji ka!? Arjun j
i ka swabhaav kaisa tha? 00:17:20,000 -00:17:21,000 Arjun ko krodh nahi tha chakrabati hone ka ghamand tha. Acha.. Isiliye thoda meetha aur milega Sahimein thoda sa autr meetha hai usse Adbhut!Adbhut! Chaaron taraf samundar khaara paani,waha par mitha hai Dhurvasa ji ka srap hai! Is Kuwe ko Dhurvasa ji ka shrap mila hua hai Ab yeh kiska Kuwa hai? Yeh hai Yudhistir. Yudhistir Maharaj! Woh toh Dharmaraaj hai.. Kunjaro mein jhoot bola tha isiliye thoda khara bhi hai lekin pta nhi lagta hia. Thoda d
hyaan de toh pta lagta hai Thoda jhoot bola toh thoda khaada hai Oh My God! Seriously!!! Aap thoda thoda taste karlo prabhu.. Yeh prabhuji mere saath nhi hai.. dekhke batao difference hai? Thooda khara hai! Thoda hai? Thoda mtlb thoda difference toh hai hi hai Thoda difference toh hai hi hai Adbhut! Yeh kudrat ki karishma.. prabhuji apke bajese apko pani bi pene ko mil gaya Warna aap jaa rahe the na?HaHaa Sadhu Santo ki kripa aisi hoti hai Kinpar hojaye kya pta! Woh apna samay nikaalkar aa rahe
hai ,Koi choti baat thodi na hai. Aap ISKCON se hai? Ji Ji ISKCON Kurukshetra se! KuKurukshetra Main bhi Kurukshetra se hu Prabhu. Waha bhi Mahabharat ka yudh lada gaya Wahhh Wahh Wahhh!!! Yeh kiska hai kuwa? Bhoot bhavishya ko jaanne walaBhavishya ko jaanne wala Sahadev, Tri-kal yayagya Wahh! Sahadev ka kuwa Aur ab aayega Nakul? Hmm.. Nakul.. sundar tha paani bhi.. Nakul sundar bhi tha aur sidha sadha bhola bhala bhi tha Bhola bhala Nakul Sidha sadha bhola bhala isiliye meetha paani Jaise mera!
!! Main bhi bhola bhala hu Yaarr! This is such a miracle! Sidha sadha bhola bhala hai siliye aapko.. Keshav ji Maharaj pta nhi kaha se mile hai aur main yaha par aaya hu dopeher ke samay Dopeher ke samay na 1pm se lekar kuch 4baje tk saare Dwarka mandir bnd rehte hai Toh yeh Laxmi Narayan ji ka mandir hai both hi adbhut mandir hai aur swayambhu vigraha hai Toh Darshan toh bnd hai lekin Keshav ji ne kaha hai ki main tumhe Darshan karaunga Aur photographs lena allowed nhi hai. Toh mujhe nhi pta un
hone kaha aap photo bhi le sakte hai Chalo aapko Darshan karata hu! Bhakton ab toh shabd hi nhi mil rahe dekhiye kitni apaar kripa rahe hai Laxmi Narayan apni Darshan bnd hone par bhi apne garbha graham ke andar hum sabhi ko le aaye hai Sri Laxmi Narayan ki Jai! Dekhiye bhakton kitne man mohak Darshan de rahe hai humein Sri Laxmi Narayan ji Laxmi ji aur Narayan key eh sundar Vigraha Garud par baithi hui, adbhut mudra mein hai Aur mujhe Pujari ji ne btaya yeh Swayambhu hai, inko kisine bnaya nhi
hai शान्ताकारं भुजगशयनं पद्मनाभं सुरेशं विश्वाधारं गगनसदृशं मेघवर्णं शुभाङ्गम् । लक्ष्मीकान्तं कमलनयनं योगिभिर्ध्यानगम्यं वन्दे विष्णुं भवभयहरं सर्वलोकैकनाथम् ॥ Mandir ke praangan ke andar aapko is vishal vriksh ke Darshan honge Maanyata hai ki Rukmini Mata ko shrap den eke baad, Dhurvasa Muni isi vriksh ke neeche Tapasya karne baithe the. Aur yaha par aap dekh sakte hai Sri Rameshwaram Dhaam se Tairta hua patthar ke bhi Darshan honge aapko. Aapko yaad hoga kis prakar Ram ji ki sena ne pathharo
par Ram Naam likhkar samudra mein fek diya tha aur woh Patthar tairne lag gayer the! Yeh Darshan aap kar sakte hai aaj bhi abhi is sthaan par Mera nivedan hai aap sabhi bhakton se aap jabhi yaha aaye, aap Keshav Maharaj ji ka Sang zyada se zyada karein. Unka sang karke mujhe ek alag si oorja prapt hui thi Jai Shri Krsna! Ab hum both hi rehsyamayi jagah par aa chuke hai Savitri Vav! “Vav” yaani Gujarati mein Kuwa Puranic kathao ke anusar ek bhakt tha jiska naam tha Gaundana Yeh rehte the Daakor
mein. Aur Daakor ka Dwarka se kuch 500km ki duri hai. Lagbhag kuch 9ghante Aur Gaundana naam key eh bhakt, har din pedal chalkar Daakor se Sri Dwarkadhish ke Darshan karne aate he Ab woh bazurg hogaye,vridh hogaye, toh ab unse chala nhi jaata tha Sri Dwarkadhish se unhone prarthna kari “Hey Prabhu,yadi aap meri seva se prasanna ho, Toh aap humare ghar Daakor chale.” Sri Dwarkadhish unke sewa se atyant prasanna the Aur kehte hai “Agli baar jab tum Dwarka aaye toh Bel Gaadi mein aana,Main Tumhare
saath waapas Daakor chalunga” Aisa hi hua bhakton.Gaundana agli baar Bel Gaadi mein aaye aur Dwarkadhish chupkese Apni Mandir se bahr aakar, Gaundana ki Bel Gaadi mein baithkar Daakor ki aur nikal jaate hahai Raastein mein bhaktlog, Shastron mein varnan hai Gaundana thak gaye Bel Gaadi chalaate Chalaate toh Dwarkadhish ne unko leta diya aur swayam bhakt Gaundana ke Saarthi bnkar Rath Daakor le gaygaye Subhah hui toh Pujari ne jab mandir ka darwaza khola toh Dwarkadhish waha nhi the 00:24:06,000
-00:24:13,000 Pure Dwara mein Hahakar mach gaya! Sri Dwarkadhish Pujari ke sapne mein aaye aur kahe Chinta mt karo. Mera aur ek aura lag Vigraha tumhe is sthaan Savitri Vav par milenge” Toh bhakton yeh sthaan both hi rehsyamayi hai!!! Jai Dwarkadhish!!! Bhakton ab hum ek both hi pavitra sthaan par aa chuke hai Yeh hai Gopi Talav. Lekin yeh sthaan toh Gopiyon ka hai, toh koi Gopi hi is sthaan ka mahatva sunaye!! Bilkul Prabhuji Ab hum aapko btate hai Gopi Talav ki Mahima! Ji haa yeh hhai Gopi T
alav joki Dwarka se lagbhag 20km dur hai Prahlad Maharaj dwara Skanda Puran,Garg Samhita aur Padma Puran mein bhi is pavitra sthaan ki mahima Mandit kiya gaya hai. Gopi Talav ki mitti toh chandan karke jaan isi pavitra sthaan se nikalne waali Peeli mitti Gopi Chandan kehlaati hai. Bhakton yeh wah Talav hai jaha Krsna Apni Vrindavan ki Gopiyon se mile the. Jab ek baar Shri Krsnaji ke hriday mein Gopiyon Se punar Milan ke utkantha uthi, toh unhone Yog Maya ke saath Uddhav ko Vrindavan bhej diya. Y
ogmaya ne nidra magan Gopiyon ko nikat hi ek sundar mahal Mein sthaanantrit kardiya. Ab bholi bhaali Gopiyon ko toh nhi pta ki bade Bade mahal kaise dikhte hai! Woh vyakulvaash uthi aur unhone dekha itna bada mahal beh dwar ko khojne lagi Aur bolne lagi “Dwar kaha!Dwar kaha!!!” Tabhi bhakton isi kaaranvash iska naam Dwarka bhi pada Gopiyon se milne yahapar Shri Krsna aaye aur unhone Sundar kund ke andar jal krida ki Bhakton Shri Krsna ne apne divya shaktiyon se hi yeh kund ko prakat kiya Shri K
rsnahi is mahal se Gopiyon ko is sundar kund ki samip le gaye Phir Shri Krsna aur Gopiyon ne kund mai jal kridayein ki Gopiyon ke saath Shri Krsna ki snan karne se Unke sharer ka saara Chandan kund ki tali par baith gayi Aur yehi woh Chandan hai jispar prakritik roop se Shanka,Chakra,Gada aur Padma susajjit hai Isi sthaan par Gopiyon ne both samay tak nivaas kiya Toh iska naam Gopi-bhu pada! Gopi chandan aur Vrindavan ki raj ka fal samaan hai nityam karoti yah papi gopi-chandana-dharanam sa pray
ati harer dhama golokam prakrteh param secro paap kiya gaya vyakti bhi yadi Gopi chandan lagata hai toh weh Shri Hari ke prakriti se pareh Golok Dhaam ko jaata hai Jaiii hooo!!!!! Isise bnate ho na aap yaha par? Yehi se milta hai mitti? Haa.. (Conversations) Toh lijiye dosto Prabhuji bhi Shri Krsna aur Gopiyon ki charan raj ki kripa ko apne Saath lekar jaa rahe hai. Alright! Toh dosto Its time for some adventure. Ab main aap sabko lekar jaa raha hu Bet Dwarka Aur manna padega Shri Dwarkadhish Ma
ndir ke baad, one of the main attractions is Bet Dwarka Dwarkadhish mandir chodke kuch 30km travel karke cab mein, main pohoch chukka hu Aukha Gaon! Aur yaha par kuch abb 20min ki boat ride lekar main pohchunga Bet Dwarka. What an experience Guys! I am telling you. Botoh hi sundar drishya all these seagull birds Yeh aapke paas aati hai saari taraf,chaaron taraf aakash mein mandrati rehti hai Aur agar aap inko kuch biscuit ya kuch Namkeen khilayenge, toh bilkul aapke paas Aa jaati hai, Thandi th
andi hawayein chal rahi hoti hai aur charon taraf yeh pakshiya, What A Feeling! I am telling you!!! Toh isiko feel karne ke liye log boat ride karte hai Dekhiyega~ Bet Dwarka mein btaya gaya hai baar baar parlay hone par bhi yeh sthaan Kabhi bhi Pralayy mein nhi aata hai. Yeh ek both hi solid awesome experience hai!!! You will never forget this Boat Ride of Dwarka. So that’s me having so much fun with the birds! So dear friends, boat ride kakre abb mai pohoch chukka hu main Bet Dwarka! Bhakton B
et Dwarka ki mitti itni pavitra hai yaha par pair rakhne matra se vyakti dhanya dhanya ho jaata hai! Aur Bhagawan Shri Krsna ne yaha Shankasur naamak asur ka vadh kiya tha isiliye Vaishnavo Is sthan ko Bet Shankha Dwarka Teerth ke naam se bhi jaante hai Bhakton is mandir ke andar jo vigraha bhagwan ke hai woh swayam mata Rukmini ne apne haathoh se bnaye the Yeh Bet Dwarka Bhagawan ka ranbaas yaani jo Raaniyon ke saath rehte the maana jaata hai Aur Gomati Dwarka Bhagwan ka Raaj darbar hai. Bhakto
n ab main aapko Bet Dwarka mandir ke bare mein 3 rochak baatein bataunga. No.1~ Mandir ke andar Prasad ke roop mein yaha chawal diye jaate hai Kyuki yaha ke pujaari maante hai ki yaha Sudama ji Bhagawan Dwarkadhish se yahi par mile the aur Unko chaawal diye the. No.2 ~ Mandir ke andar jo vigraha hai waha ke Pujari hai maante hai ki Meerabai inhi vigraha ke andar Sama gayi thi. Aur Gomati Dwarka par waha manyata hai ki Sudama ji aur Meerabai usi Vigraha mein vileen hui thi. Yeh chunaav main aapk
e haath mein chodta hu aur Aur No.3~ Mandir ke andar jo seva ki jaati hai woh Brahmachari karte hai lekin Laxmi ya Satyabhama Ke roop mein woh seva karte hai. Iska arth hai sakhi bhaav mein. Isiliye aap yaha dekhenge Yaha ke jo pujari hai unke vastra,aabhushan striyon jaise lagte hai Toh ab main aapko lekar jaa raha hu.. Pure vishwa mein samsar mein keval Ek aisa mandir hai jaha par unke bête hai. Hanuman ji toh baal Brahmachari hai Bhaiya unki kabhi shaadi hui nhi toh unko putra kaha se hua,
aayiye jaante hai Chaliye Darshan ke liye lekar jaata hu main aapkoooo!!! Sri Makardhwaja Mandir.toh bhakto Katha is prakar hai, yeh us samay ki baat hai jab Hanuman ji Mata Sita ki khoj mein Lanka jaate hai aur Raavan unko bandi bnaakar unki poonch mein aag laga dete hai Hanuman ji apne poonch ki aag ko bujhaane ke liye samudra pohochte hai Aur Us samay unke sharer se paseena tapakkar samundar mein jaata hai Aur Ek machli ise apne much mein dhaaran kar leti hai Jisse machli garbhavati ho jaati
hai aur wahase utpatti hoti hai Hanuman ji ke putra Makardhwaja ki... Kaashi Banaras mein tume chu na tume saari dilai chuna na ab Gujrat Dwarka mein chu manne shopping karne jaayi chu. Dwarka shopping kari chuna Chalo Mara Digro dogro hamne Gujrati shopping karichu.. fafda fufda khaake aayichu shop karichu uske baad Vlog continue karichu!!! All the Gujaratis in the house! Comment karke merko batao yaar kaise lag raha hai mera vlog!!! Yeh bandhna ayi chu Aur yeh bandhiye na help kariye na! Aar
arara aararara humar Dwarkadhishwa Yeh Toh pet dikhchu!!! Mera pet dikchu toh abs nhi aachi! Aise hi pehnte hai Shopping ke baad lagi hai doston both tez bhook Aur waise hi subhah se aapke Darshan kara raha hu na! Aayiye ek hi Jagag lekar jaaunga aur waha kaam ho jaayega Yeh hai Hotel Roma Kristo. Pehle mera swagat toh hone do Karo bhaiyya! Jai Dwarkahish Jai Dwarkadhish Kaise sab Jai Dwarkadhish bol rahe hai Romano Cuccina Toh guys both solid ambiance,clean restaurant, very very welcoming aur
yaha par Ek specially abled bhi hai! Sun nhi sakte bol nhi sakte lekin apni bhaavnao se aapko bohot prem se serve karte hai. Pura staff hi bohot achha hai aur yaha ki Gujarati thali must hai. You have to try.. aayiye main aapko dikhata hu Kaisi lagti hai aur iske andar kya kya hota hai (Gujarati explanation of dishes present on plate) Merese raha nhi gaya aur main toh kichen ke andar hi chala gaya sabka dhanyavad karne, Chef ka dhanyavad karne ke liye. Yeh green waalo ka dhyaan rakhna Inki Eng
lish jo hai na woh aag laga degi. Manager hai yeh basically. Toh abhi bhi mereko bol raha hai hat jaa thoda side mein aa jaaoge!? Duty ka time hai chalo lelo ek photo and then we had a photo Jitne bhi mere subscribers hai sab yaha par aayiye (Manager ko dekh rahe ho) Thank you so much!!! Guys please zarur aana its a beautiful restaurant. Mahadev! Mahadev! Mahadev! Toh humare Mahadev yaha Dwarka mein bhi hai Kaashi Vihswanathji ka vlog dekh nhi dekha? Aayiye aapko Darshan karata huSamudra ke beec
h mein Mahadev baithe hue hai Yeh humari BMW,Audi sab kuch hai Bhaiya rokiye zara! Hanji hum bhi thoda sa baith jaate hai andar Let’s Gooo!!! Mahadev!Mahadev!Mahadev!Mahadev!Mahadevvv!!! Bula liya aapne Mahadev! Apne paas bula liya aapne Mahadevvv!!! Mahadev! Doston Shri Dwarkadhish ki yatra keval Dwarka ke Mandir tk seemit nhi hai Yaha par bhi humare Devon ke Dev Mahadev upasthit hai, jo Badhkeshwar Mahadev Ke roop mein Aajse 5000 saal pehle, Arab saagar se swayam prakat hua yeh Shivling Aaj
humein Sri Bhadkeshwar Mahadev ke roop mein darshan de rahe hai! June aur July ke mahine mein pura samundar Bhadkeshwar Mahadev ka Abhishek karta hai. Is mandir mein Bhagwan Shiv ko ChandraMaulishwar Ke naam se bhi jaana jaata hai. Mandir subha ke 8baje se dopeher ke 12baje tk jal abhishek ke liye sabke liye khula rehta hai Boliye Har Har Mahadev!!! Bhakton Gita Mandir! Aur aapka GKD (Prabhu) kaha se hai! Sri Kurukshetra Dham jaaha par Bhagwan Sri Krsna ne Apne sakha aur apne shishya ko Gita ka
updesh sunaya tha यदायदाहिधर्मस्यग्लानिर्भवतिभारत। अभ्युत्थानमधर्मस्यतदात्मानंसृजाम्यहम्।। परित्राणायसाधूनांविनाशायचदुष्कृताम्। धर्मसंस्थापनार्थायसम्भवामियुगेयुगे Bada hi unique temple hai.. chaaro taraf diwaro pe Bhagavad-Gita ke shloka likhe huye hai. Aur aawaz echo hoti hai. Darshan kijiyega. ब्रह्मभूत: प्रसन्नात्मानशोचतिनकाङ्क्षति | सम: सर्वेषुभूतेषुमद्भक्तिंलभतेपराम् || Mukhya mukhya 60 shloka. Tesham.. aawaz yaha par goonj rahi hu. Mereko jaise mereko actually feel ho rahi hai ki mai Maha
bharat ki yudh mein Bhagavad-Gita ke shlokon ka uccharan kiya jaaRaha hai. Look at this तेषांसततयुक्तानांभजतांप्रीतिपूर्वकम्। Gita Mandir ke baad ISKCON Mandir Apna ghar! Srila Prabhupada ji ne vishwabhar mein aneko anek ISKCON Mandir banaye hai Itna bada mandir ka gate dekhkar dil khush hogaya Har sheher mein aisa mandir ka gate hona chahiye Mandir ke andar main aa gaya hu aur dopeher ke aarati ke Darshan ke liye pohoch gaya tha Aayiye Sri Rukmini Dwarkadhish ki dopeher ki aarati ka Darshan kar
e Bhakton both hi sundar hai humare Rukmini Dwarkadhish ji Aur unke liye aarati gaakar both hi anad aur bohot hi shaanti ka anubhav ho raha tha mujhe Humare ISKCON ke mandir mein jo dincharya hai puja paath ki woh ek jaisi hoti hai (Jai Sri Sri Rukmini Dwarkadhish kiiii Jaiiiii hooooo) Toh yaha dopeher ki aarati ho rahi usi prakar subha ke Mangala Aarati (Srila Prabhupad ki jaiii hooo) sham ki aarati aur shayan aarati hoti hai HH Ma
havishnu Swami Maharaj ji ne jo Prabhupada ji ke Shishya the, unhone san 2000 mein is mandir ka udghaatan kiya tha (Namo om Vishnupadaya) Boliye Sri Rukmini Dwarkadhish ki Jaiii, Srila Prabhupada ki Jaiii (Krsna presthaya Bhutale) Srimate Bhaktivedanta Swamin iti naamine Jaya sri-krishna-chaitanya prabhu nityananda sri-adwaita gadadhara shrivasadi-gaura-bhakta-vrinda Par sabse achi baat pta hai kya hai? Main Dwarkadh
ish ke mandir se sirf 3minute ki Duri par hai humara ISKCON Mandir. Jaya Jaya Prabhupada Prabhupada Prabhupada Jaya Jaya Prabhupada! Hareee Krsnaaa!!! Toh humare saath hai, Antaryaami Krsna Das... Govind Krsna Das with Antaryami Krsna Das Prabhuji Aur hum aapko ab dikhayenge ISKCON Dwarka par kaafi Saare rooms bhi hai. Aap aaye aur Srila Prabhupada ke apne ghar Mein rehna chahe toh aapko is number par call karna padega Aur room ko book karna padega, yeh rooms mahine mahine pehle hi booked rehte
hai. Toh prabhuji aapko mobile number btayenge jispar aapko call karke bapko room book karna hai uske baad main aapko room dikhaunga. Room kaisa hai hamare paas AC bhi hai. Non AC bhi hai, 2 bed rooms 3 bed rooms sab kuch hai toh btaiye prabhuji number hai 9773440880 thik hai to iss number ko aap note kar lijiyega mobile number hai ye main apko Phirse bta raha hu if want to book a room here you have to book It one month before. Ab aap room dikha dijiye Thik hai? Thik hai... Prabhuji is very wel
coming ab hum Raaj Bhog Prasad bhi khayenge!!! Yaha par kitne floor hai floors? 4th floor hai yeh And you can see there’s an elevator Toh buzurgo ke liye maanlo jo zyada chal nhi paate sidi se elevator ki byabastha bhi hai ab prabhuji hume dikhayenge Ab yeh hai!! Kya hai yeh? 4 Bedroom Bedroom. Toh yeh hai humara ISKCON Delhi wala nhi Dwarka Delhi wala nahi Yeh hai Gujrat wala. Jo asha karte hai k hum aye darshan kare dhaam me se ye hai humara ISKCON Dwarka ka 4 bed ka room hai Very nice,ver
y spacious,very clean yeh hai attached washroom bhi hai bohot badiya. Jinko zyada garmi lagti hai unke liye AC bhi hai Kyuki hum AC Bhaktivedanta Swami Prabhupada ji ke shishya hai Chaliye hum chalet hai aur dekhenge 2 Bedroom. Bedroom 3! Acha woh 4 hai and this is 3 bedroom. Very nice! Attached bathroom,okay! Prabhuji 3Bedroom ki cost kya hai? Aa life member, non life member ka alag hai Dono ka bta dijiye Life member ka kitna hai? Life member ka 1500 hota hai 1500rs life member ke liye! Aur jo
non-life member hai? 2000rs 2000rs! Hee toh sabse pehle life member bnaye aur discount paayiye Chaliye, aage badhte hai... but guys again 1500,2000rs 5-Star Hotel aapse aanth 8, 10,000rs Lete hai. 3 Star waale aapse 3-4000 le lenge. 2000rs mein aapko Prabhupada ji ka Ghar mil raha hai rehne ke liye Dwarka mein. Yeh hai 2 Bed! Ji 2 Bed. Ok... ok, ok,.. thik hai thik hai chaliye,chalte hai! 2 Bed kitne ka hai Prabhuji? Yeh 2 Bed life member ke liye 1000 aur non-life member ke liye 1500 1500. ok,Ha
re Krsna... Thank you Bhakton ISKCON Mandir se 2minute ki duri par ek aisa mandir hai jo Yaha par pichle 55 saal se Sri Ram Naam ka kirtan uccharan chal raha hai Non-stop pure din bhar chalta rehta hai. Is dwaar ka naam hai Sri Laxman Dwaar Aayiye main aapko Darshan karata hu aur yah par nitya Ram Naam ka Kirtan chalta hai Sabhi comments ko bhar do. Sri Ram Jai Ram Jai Jai Ram, Ram Ram Jai Sri Ram! Ayyiye Darshan karte hai. Jai Ram Jai Jai Ram Sri Ram Jai Ram Jai Jai Ram Sri Ram Jai Ram Jai Ja
i Ram Sri Ram Jai Ram Jai Jai Ram Sri Ram Jai Ram Jai Jai Ram Sabhi bolo Sri Ram Jai Ram Jai Jai Ram! Sri Ram Jai Ram Jai Jai Ram Sri Ram Jai Ram Jai Jai Ram Sri Ram Jai Ram Jai Jai Ram 00:44:55,000 Bolo Sri Ram Jai Ram Jai Jai Ram Aapko koi bada Sadhu nhi hone hai Ram Naam lene ke liye You don’t need to become big sadhu or Guru to say Ram Naam Anyone can say Ram Naam ~ Most powerful Naam Ram se bada Ram ka Naam! Ab hum aa chuke hai Gomati nadi ke bilkul kinaare par Yeh Mandir dekh rahe hai aap
bhakton? Yeh hai Sangam Narayan athwa Samudra Narayan ji ka mandir. Katha is prakar hai:- Bhagwan Sri Krsna Mathura se Dwarka aaye aur apni nagri basana cha rahe the Toh Unhone samudra se jagah maangi thi Samudra ne aadesh ka paalan karke Bhagwan ko 12yojan jagah di Aur Vishwakarma ne raaton raat Dwarka ki nagri bna di Ayyiye Darshan karte hai Sri Sangam Narayan Bhagwan ke Athva Sri Samudra Narayan Bhagwan ke Yeh ati puratan Bhagwan ke chaturbhuj vigraha hai Skanda Puran mein varnan hai Artharth
Sangam Narayan ji ke Darshan karne se Dwarka Yatra ka punya Phal prapt hota hai. Sangam Narayan mein snan, daan,shraddha evam tarpan ka bhi mehetvapurn sthaan hai priya Bhakton ab hum yatra ke antim paraav ki aura age badh rahe hai Ab main aapko us sthaan par lekar aaya hu jaha par anat koti Brahmand ke maalik, Bhagwan Sri Dwarkadhish ne apni lilaye samaapt kari thi Aur apni Dhaam ki aur laute the. Brahmano ki shrap ke kaaran apne hi Vansh ko nasht hota hua dekhkar Sri Krsna Bhagawan both dukhi
the Aur isi Bharat teerth par aakar is Bhal Kund sarovar ke sameep, peepal Vriksh ke neeche apna dayna paav, baaye paav par rakhkar Yoga Samadhi mein baithe hue the. Usi samay Jara naam k eek Shikaari ne bhool varsh, pair ko mrig samjhkar teer chala diya Wah teer Bhagwan Sri Krsna ke daayne paav mein jaakar lagaa Paas mein pohochne par us shikari ne dekha yeh toh ek yogast Pitambar dhaari Purushottam hai. Woh ghabrakar Apne aparadh ki kshama maangne laga. Tab Bhagwan ne usko Aashwasan diya ki “
jo kuch huwa hai, woh Meri hi sukriti Aur iccha se hi hua hai.” Bhagwan ne kaha “tum daro mt Ab Meri aagya lekar tum Vaikunth ko jaao” Yeh sunkar us shikari ne Bhagwan ki 3 baar pradakshina kari Aur apna sheesh navaya uske baad woh maan se Vaikuntha Dhaam ki aur prasthan kiya Uske baad Bhagwan bhi apne Param Dhaam ki aur chal pare Shikari ke duwara mara gaya ban isi Bhal Kund mein feka gaya Bhal maarne ke kaaran yeh sthaan Bhal teerth kehlata hai Aksar log kehte hai ki “Krsna Bhagwan kaise ho sa
kte hai Unko toh ek shikari ne maar diya tha” जन्म कर्म च मे दिव्यमेवं यो वेत्ति तत्त्वतः। त्यक्त्वा देहं पुनर्जन्म नैति मामेति सोऽर्जुन ॥ “Hey Arjun, Mera janam aur Karam Divya hai, Yeh kar koi samajh nhi sakta hai” “Jis prakar surya prakat hota hai aur sham Ke samay ast ho jata hai usi prakar Main har yug mein prakat hota hu aur Aprakat ho jaata hu” Yeh sab toh Bhagwan ki leela hi thi Doston jab bhi mere jaane ka samay ho jaata hai, Pta nhi kyu meri aakhein nam aur shabd kam par jaate hai Bhak
ton aapse is Das GKD ne pura prayas kiya Aapko sampurn Dwarka ki Yatra karwane ka Yadi koi galti ho gayi ho ya kuch choot gaya ho Toh mujhe kshama kardena. Lekin shaashtron mein Yeh baat maine na baar baar padhi Dwarka ke baare mein Kehte hai jabtk kisike upar Shri Dwarkadhish ki kripa na ho Unki iccha na ho, koi bhi Dwarka mein pravesh nhi kar sakta hai Aap sabhi ko main badhai deta hu aap sabke upar Apar kripa barsi hai, tabhi aapne Dwarka ki Yatra kari hai Toh is Kripa ka kya karenge aap? Sir
f apne tk seemit rakhenge? Bilkul bhi nhii!!! Mere 2 nivedan hai aapse Sabse pehla Comment zarur karna kyuki in videos ko bnane mein Boht boh mehnat lagti hai aur jab bhi mere paav rukte hai, Toh aapka comment padhne se mujhe bal milta hai aur Main phir khada ho jaata hu. Aur dusra nivedan hai is Dwarka ke Yatra ka link Aap sab Social Media ke groups par Jaana chahiye. Kya pta kaun Dwarkadhish ke saath sada ke liye jud jaaye!!!???

Comments

@GovindKrsnaDas

First Ever Bhajan Shot In Ladakh is OUT NOW !! - https://youtu.be/fA2DkuuXwr8

@dinesh21ful

इतनी अच्छी तरह से किसी ने नहीं समझाया द्वारिका का महत्व हम दो दिन बाद द्वारिका जाने वाले है और उसी वक़्त आपका वीडियो हमारे लिए आशीर्वाद रूप बनकर आया है जय श्री कृष्णा

@yishugarg8955

Best vlog ever......!!!!!❤❤❤ Jai Dwarkadish ❤️❤️ Jai Rukmini Maiya❤️❤️ Har Har Mahadev ❤❤ Jai Shri Ram ❤❤ Jai Hanuman ❤❤

@alkamukhedkar4161

हम सभी द्वारका नगरी भागवत कथा सुनने जा रहे है आपकी जानकारी बहुत बहुत अच्छी लगी बहुत बहुत धन्यवाद ।

@jaishrigupta5846

द्वारकाधीश भगवान की जय हो। हमें भी द्वारकाधीश बुला रहे हैं और अपनी कृपा बरसा रहे हैं ।मन बहुत रोमांचित है ...आपकी वीडियो देखकर बहुत विस्तृत जानकारी मिली ऐसा लगा जैसे मैं पहले ही वहां पहुंच गई हूं। आपका बहुत बहुत आभार❤❤❤❤

@SiyaB378

Shri Shri Rukminidwarkadhish ki jayyy hpoo❤Rakhumai Madhav

@ArpitaRaj--XC

Ohhh krsna!!!!!This 50 minutes and 29 seconds of pure bliss prabhuji 🥺🥺🥺Thissss vlog prabhuji literally broke all the records...hume shri dwarka dham ki purn roop se mansik darshan krwaye h aapne.....koti koti danwat to the entire team for making such a heart wrenching vlog💗💗💗💗Your voice over💥The background music and the outstanding editing has literally justt rockedddd it !!!!!!..itne pyareee pyare darshans 😭😭🙏🙏💗💗💥🥺💫💫💫 Shri Rukmini Dwarkadheesh ki jayyyyy...shri dwarka dham ki jaiiiii ...jagat guru srila prabhupad ki jaiiii....HG Govind krsna das prabhu ji ki jaiiiiii...GKD FLIMS ki jaiiii🙇‍♀️🙇‍♀️🥰🙏🙏🙏

@avinashkandekar2500

यह व्हिडिओ देखकर मुझे ऐहसास हो रहा है कि, मैं द्वारका नगरी घुम रहा हूं। बहुत अच्छी जानकारी दी गई है।

@user-tt3ig4bt4c

Jay Dwarikadhish ..lots of love from odisha..jay Jagannath ❤️🙏🙏

@siwangikushwaha6192

श्री रुक्मिणी द्वारकाधीश जी की कृपा से ही हम सभी भक्तों को श्री द्वारका धाम के इतने सुंदर और भव्य दर्शन हुए 🙏🏻 । Thank You sooo much Prabhu Ji for this beautiful virtual journey. SHRI RUKMINI DWARKADHISH JI ki JAI 🙌. HARE KRISHNA 🙏🏻

@vidhianand8546

Kya Bollywood , Kya Hollywood! This is krsnawood! The Original, Eternal, Ultimate Spiritual Entertainment! प्रभु की शाश्वत लीलाएं, कथाएं, दर्शन!❤️🙇🏻‍♀️ Starting was Just Matchless😳 our Srila Prabhupada's UNSTOPPABLE Spiritual warrrior!💥 Goosebumps! Till the end! Jai ho🙇🏻‍♀️🥺

@nishant9466

❤❤❤❤❤❤❤❤Shri Rukmani Maiya ji ki Jay Ho Dwarkadhish ki Jay Ho Hare Krishna❤❤❤❤❤❤❤❤

@mukeshsaxena5237

Jai dwarkadhish Maharaj ji ki Jai 🙏🙏🙏🙏

@mydoenew1818

Are prabhuji bs aapka vlog ka hi intezar kr rhe hai 🙇🙏☺️ Hare Krishna 💯🙏😊

@kartikeyverma2376

श्री द्वारिकाधीश प्रभु की जय🚩🚩🚩❤️❤️ हरि हरि बोल😍😍😍

@prachi517

Bohot acha video banaya prabhuji want to see more such videos ur truly blessed 🙌 Hari bol Jai rlRukmini swarkadesh bhagwan ke jai ho ❤

@shrutipandey8272

Amazing govind ji Jai shri radhekrishn Jai rukmini dawarkadhish Hare krishna Radhe radhe...... Hari bol

@ayonabiswas6631

The best vlog ever of Dwarka Dham Prabhuji🙏🏻 ....with so many beautiful kathas and info❤ ...loved it ❤... Dwarka Dham Ki Jai🙏🏻 Jai Shri Dwarkadhish 🙏🏻 Haribol🙏🏻❤🙏🏻

@kaladevi2874

द्वारका धाम वीडियो देखना एक बहुत ही रोमांचक अनुभव था और सभी जगहों पर सुंदर दर्शन और क्या अद्भुत दृश्य था मैं बहुत बहुत आभारी हूं प्रभुजी ऐसा अद्भुत वीडियो आपने बनाया है🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏

@nehaGiri27

Finally One million views completed 😍 Congratulations prabhuji, Kin shabdon mein Thank you bolu prbhuji, aapne to hume sakshat Char Dham Yatra karwa diye! May Bhagwan Dwarkadhish bless you always 🙇‍♀️🙇‍♀️🙇‍♀️🙏🏻♥️